Operation Mahadev: Kashmiri Mastermind Hashim Musa Ka Ant, Inside Story Jo Har Hindustani Ko Jaani Chahiye

Operation Mahadev

Kashmir ke Mahadev Mountain par hua ek dhamakedaar encounter, jisme India ke security forces ne ek aur badi jeet haasil ki hai. Is baar nishana bana – Hashim Musa, jo Pahalgam terrorist attack ka mastermind tha. Is operation ka naam rakha gaya – Operation Mahadev.

Operation Mahadev

Ek Signal… Aur Shuru Hua Operation Mahadev

Ye sab start hua ek chhoti si signal se. Intelligence agencies ko ek unusual communication frequency track hui – Chinese Ultra Radio Communication System. Ye wahi encrypted radio signal tha jo Lashkar-e-Taiba jaise groups secure messaging ke liye use karte hain. 2016 mein ise “WY SMS” ke naam se bhi jaana jaata tha.

You may also read :- Uttar Pradesh News: Medha Roopam Bani Noida Ki Nai DM, UP Mein 23 IAS Officers Ka Tabadla

India Pakistan News: Ababeel Missile Ka 13th Test Hua Fail – Bharat Ki Nakal Mein Phir Se Gira Pakistan

Jaise hi ye signal Kashmir ke Liddvas forest area ke paas active mila, Indian security agencies – Army, CRPF aur J&K Police – turant alert ho gayi. Phir launch hua high-intensity Operation Mahadev.

Mahadev Mountain Par Ghanti Baji – 3 Terrorists Giraaye Gaye

Joint forces ne Mahadev mountain ke forest zone mein surgical-style operation kiya. Encounter area ko tightly cordon kiya gaya. Jaise hi forces suspected location ke pass pahunche, terrorists ne firing shuru kar di.

Jawab mein Bharat ke veer jawano ne bhi full firepower ke saath attack kiya. Is encounter mein 3 terrorists maar giraye gaye. Unmein se ek tha Hashim Musa alias Suleman – jo Pakistan Army ka ex-special forces para commando tha.

Jammu & Kashmir Police ke Kashmir Zone ke IGP Vidyut Kumar Birdi ne confirm kiya:“Initial reports ke mutabiq 3 bodies spot ki gayi hain. Identification process mein thoda samay lagega. Operation Mahadev abhi bhi jaari hai.”

Hashim Musa – Ek Naam, Kai Khaufnak Kahaniyaan

Hashim Musa sirf ek terrorist nahi tha, balki wo kai major attacks ka mastermind tha:

  • 22 April 2025 – Pahalgam Attack (Baisaran Valley): Jahan 6 civilians aur CRPF ke log shaheed hue.
  • October 2024 – Gagangir, Ganderbal Attack: Isme 6 non-local workers aur ek Kashmiri doctor ki jaan gayi.
  • Butapathri, Baramulla Attack: Jahan 2 Indian soldiers aur 2 porters shaheed hue.

Musa, Lashkar ke trained cadre ka hissa tha aur Pakistan ki taraf se baar-baar infiltrate karta tha. Uske sath Junaid Bhatt aur Arbaaz Mir bhi the – dono ko 2024 mein alag-alag encounters mein eliminate kiya gaya.

Chinese Encrypted Radio Se Khula Raaz

Operation Mahadev ki sabse badi success ye thi ki isne Pakistani-backed network ke encrypted communication system ko decode kar diya. Chinese Ultra Radio Communication ka use dikhata hai ki ye sirf ek local insurgency nahi thi – iske peeche international terror modules ka haath tha.

Ye radio system India ki communication intelligence ke liye ek naya challenge tha, lekin agencies ne isse detect kar ke jo swift action liya, usse dikh gaya ki Bharat ki security backbone ab aur bhi powerful ho chuki hai.

High-Tech Weapons Mile, Training Ka Level Tha Advanced

Encounter ke baad jo weapons recover huye, unse yeh saaf hua ki terrorists well-equipped the. Unke paas high-tech automatic rifles, night vision equipment, aur encrypted GPS trackers mile. Yeh sab saboot dete hain ki unka training Pakistan ke military camps mein hua tha.

National Impact: Ek Bada Message Dushman Ke Naam

Operation Mahadev ne ye saabit kar diya hai ki Bharat ki security forces not only reactive, but proactively lethal ho chuki hain. Pahalgam attack ke mastermind ko is tarah hunt karna aur eliminate karna ek strategic masterstroke hai.

Yeh message sirf valley mein active militants ke liye nahi, balki unke cross-border handlers ke liye bhi hai – ki Bharat har signal sun raha hai, har move track kar raha hai.

Conclusion: Bharat Ki Jeet, Dushman Ka The End

Operation Mahadev sirf ek counter-terrorism success nahi, balki ek psychological victory bhi hai. Hashim Musa jaise well-trained terrorist ka khatma security forces ki sharp intelligence aur field coordination ka jeeta-jagta saboot hai.

Umeed hai ki yeh Operation Mahadev jaise missions future mein aur bhi speed aur accuracy ke saath chalayenge, taaki Kashmir mein aman aur vikas ka safar bina rukawat ke chalta rahe.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *