Mumbai Pune Expressway Accident: Bina Brake ke Trailer Ne Machaaya Dardnaak Haadsa, 20 Gaadiyon Ko Mari Takkar – 4 Ki Maut-Latest news

mumbai pune expressway accident

Weekend ke din jab sabhi log Lonavala ke khubsurat waterfalls ka mazaa lene nikle the, tab Mumbai-Pune Expressway par ek bhayanak haadsa ho gaya. Ek bina brake ke trailor ne lagbhag 20 gaadiyon ko takkar maar di, jis mein 4 logon ki jaan chali gayi aur 15+ log gambhir roop se ghayal ho gaye. Mumbai Pune Expressway Accident

Kaise Hua Yeh Accident? Mumbai Pune Expressway Accident

Hadsa Khapoli ke paas us waqt hua jab ek trailer Lonavala-Khandala ghat se neeche utar raha tha. Brake fail hone ki wajah se trailor ne apne aage chal rahi kai gaadiyon aur trucks ko bina control ke takkar maar di. Takraane ki speed itni zyada thi ki teen gaadiyaan bilkul choor-choor ho gayi, aur doosri kai severely damage ho gayi.

You may also read :-Rajasthan se Dardnaak Khabar: Ek Pita Ne Apne Hi Parivaar Ko Kar Diya Khatm-Rajasthan News

Bengaluru Bhagdad: Buri Tarah Phans Gayi RCB, Karnataka Sarkar Ne Di Case Chalane Ki Ijaazat

mumbai pune expressway accident

Scene Ka Hal – 5 KM Tak Lambi Gaadiyon Ki Line-Latest news mein agge padiye-

Is massive collision ke baad expressway par 5 kilometre lamba traffic jam lag gaya. Weekend hone ke kaaran already road par kaafi heavy traffic tha. Jab ye accident hua, toh Mumbai ke kai tourist Lonavala se wapas laut rahe the, jiska nateeja ek massive gridlock ke roop mein nikla.

Ghayalon Ki Haalat Aur Rescue Operation

15 se zyada log ghayal hain, jinko aaspaas ke hospitals mein bharti karaya gaya hai. Kuch ki haalat critical batayi ja rahi hai. Khapoli police aur local rescue teams ne turant action liya, aur logon ko ambulance ke through medical support pahunchaya gaya.

Mumbai Pune Expressway Accident Location: Nayi Surang Aur Food Mall Ke Beech

Yeh bhayanak haadsa Mumbai lane par hua, jo ki nayi tunnel aur food mall ke beech ka area hai. Ye jagah pehle bhi kuch chhote accidents ke liye jaana jaata raha hai, par is baar trailor ke brake fail hone se jo destruction hua, wo sabke liye ek shock ban gaya hai.

Traffic Diversion Aur Police Ka Action

Hadse ke baad Mumbai-Pune expressway ka ek major portion temporarily close kar diya gaya. Police ne traffic ko alternate routes par divert kiya hai taaki baaki log apne destination tak pahuch sakein. Expressway par har din 2 lakh se zyada vehicles guzarte hain, isliye is tarah ka jam pure system ko affect kar deta hai.

Mansoon Ka Effect – Aur Zyada Badh Gaya Risk

Is time monsoon peak par hai, aur log hill stations jaane ke liye weekend par expressway ka use karte hain. Barish ke karan roads slippery ho jaate hain, aur jab ek trailor brake fail ho jaaye, to haadsa avoid kar pana mushkil ho jaata hai.

Safety Concern: Kya Kiya Ja Sakta Hai?

Ye haadsa ek wake-up call hai authorities ke liye:

  • Heavy vehicles ka proper brake inspection hona chahiye
  • Weekend par extra patrolling aur speed check zaroori hai
  • Emergency lanes ko open rakhna chahiye for ambulances

4 Jaane Gayi, Par Zimmedaari Kiski?

Ab sabse bada sawaal hai – kya is haadse ke liye sirf trailor driver zimmedar hai? Ya phir highway safety system aur RTO ki laxity bhi iske liye accountable hai? Investigation jaari hai, par logon ka gussa social media par clearly dikh raha hai.

IncidentBrake fail trailor ne 20 gaadiyon ko mari takkar
JagahMumbai-Pune Expressway, Khapoli ke paas
Mritak4 logon ki jaan gayi
Ghayal15+ log serious condition mein
Jam5 KM lamba traffic jam

Conclusion

Mumbai Pune Expressway Accident par hua yeh haadsa sirf ek accident nahi, balki ek serious safety lapse ka pramaan hai. Jab tak authorities aur public dono milkar traffic safety ko priority nahi banaate, tab tak aise haadse baar-baar hote rahenge. Chaliye dua karte hain ki ghayal log jald theek ho jaayein, aur aage se kisi parivaar ko apne pyar ka insaan iss tarah na khona pade.

LATEST POSTS

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *