Gold Price Today: 5 Din Mein 2,100 रुपये सस्ता हुआ सोना, जानिए क्या है गिरावट की असली वजह

Gold price today

Gold price today – investors aur buyers dono ko chokaa diya hai. Pichhle 5 dino se lagatar girte ja rahe gold ke daam .Market mein halchal macha di hai.

Jab global level par tensions badh rahe the aur gold safe-haven maana jaa raha tha, tabhi Delhi ke bullion market mein kuch alag hi trend dekhne ko mila –Gold price today ke update mein 2,100 rupaye tak ki bhari girawat!

Gold Price Today in Delhi: 5 Din Ki Lagatar Girawat

Wednesday ko Delhi mein gold prices ne fifth consecutive day girawat dikhayi. Akhil Bhartiya Sarafa Sangh ke anusar:

  • 99.9% purity wala gold ₹300 girkar ₹98,600 per 10 gram ho gaya
  • 99.5% purity wala gold ₹250 girkar ₹98,050 per 10 gram (tax included) ho gaya

HDFC Securities ke Senior Analyst Soumil Gandhi ke mutabik, Israel-Iran ke beech ceasefire hone ke baad geopolitical tensions kam hue hain. Is wajah se investors ne gold ki safe-haven demand se haath khinch liya, jis se daam neeche aa gaye.

Global Market Mein Gold Ki Halat

Global bullion market mein bhi halki si softening dekhi gayi. International market mein:

  • Gold spot price thoda sa gira aur $3,322.56 per ounce par aa gaya
  • Silver prices bhi ₹1,100 girkar ₹1,03,100/kg (tax included) ho gayi

Pichhle session mein silver ₹1,04,200/kg thi, matlab silver investors ke liye bhi yeh week kuch khaas nahi raha.

You may also read:-Himachal ka weather : 4 Jagahon Par badal phata, 2 Ki Maut, 20 Log bahh Gaye – Monsoon Ne Machaayi Tabahi

Pichhle 5 Din Mein Gold Price Today Kitna Gira?

Pichhle 5 sessions ka breakdown kuch is tarah hai:

  • 19 June: ₹150 ki girawat
  • 20 June: ₹600 ki girawat
  • 23 June: ₹160 ki girawat
  • 24 June: ₹900 ki girawat
  • 25 June (Wednesday): ₹300 ki girawat

Total girawat: ₹2,110 per 10 gram
Yani agar kisi ne ek hafta pehle gold kharida hota, toh aaj uski value ₹2,100 tak gir gayi hoti!

Gold ki keemat par duniya bhar ke geopolitical tensions ka gahra asar padta hai. Jab global conflicts ya economic uncertainty badhti hai, toh investors apni risk ko kam karne ke liye gold ko safe investment samajhte hain. Lekin iss baar, jab Israel aur Iran ke beech tension peak par tha, tab bhi Delhi mein gold prices girti rahi, jo ek ajeeb contradiction hai. Yeh batata hai ki local market ke factors, jaise demand-supply, currency fluctuations, aur government policies bhi gold price ko prabhavit karte hain. Isliye, sirf global tensions ko dekh kar gold market ko samajhna mushkil hai.

Experts Kya Kehte Hain?

Market experts ka maanna hai ki yeh girawat abhi rukne wali nahi hai. Kuch major global events gold prices ko agle dino mein aur bhi impact kar sakte hain:

LKPSecurities ke analyst Jatin Trivedi ke mutabik:
Investors ab wait kar rahe hain US Fed Chairman Jerome Powell ki commentary, US GDP numbers, aur core PCE inflation data ka. In sab ka direct impact gold prices par padega.

Abans Financial Services ke CEO Chintan Mehta ke mutabik:
Badhte global trade tensions aur geopolitical risks market ko drive karenge. Yeh na sirf gold ki demand ko affect karte hain, balki oil prices par bhi pressure banaate hain. Agar yeh tensions dobara badhte hain, toh gold ek baar fir rally kar sakta hai.

Aage Gold Price Ka Trend Kaisa Rahega?

Short term mein gold price aur fluctuate kar sakta hai. Agar global tensions dobara escalate hote hain, ya inflation ke data strong aate hain, toh gold ki demand fir se badh sakti hai.

Lekin jab tak global market calm hai, investors dollar aur equity mein shift kar rahe hain, jiska direct impact gold aur silver ke rates par ho raha hai.

Conclusion

Agar aap gold mein invest karne ka plan bana rahe ho, toh abhi ka samay thoda mixed signal de raha hai. Gold price bhale hi gira hai, lekin ye girawat temporary bhi ho sakti hai. Jaisa ki experts keh rahe hain — agle kuch din critical honge gold market ke liye.

Investment se pehle market trends aur global factors par nazar zaroor banaye rakh

LATEST POSTS

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *